Kya khoob likha hai kisi ne…

Kya khoob likha hai kisi ne…
Baksh deta hai Khuda unko
Jinki kismat kharab hoti hai
Wo hargiz nahi bakshe jate hai
Jinki neeyat kharab hoti hai
Na mera ek hoga na tera lakh hoga
Na tareef teri hogi na mazak mera
hoga
Gurur na kar Shah e shareer ka
Mera bhi khaak hoga tera bhi khaak
hoga
Zindagi bhar branded branded karne
waalo
Yaadrakhna kafan ka koi brand nahi
hota
Koi ro kar dil bahlata hai
Or koi hass kar dard chupata hai
Kya karamaat hai kudrat ka
Zinda insaan pani me dub jata hai or
murda tair ke dikhta hai
Maut ko dekha to nahi par shayad
wo bahut khubsurat hogi
Kambaqt jo bhi uss se milta hai
jeena chod deta hai
Gazab ki aikta dikhi logo ki zamane
me
zindo ko girane me or murdo ko
uthane me

Zindagi me na jane kon si baat
aakhri hogi
Na jane kon si raat aakhri hogi.

Related Posts